Best Urdu Shayari jaun elia poetry

 

Best Urdu Shayari jaun elia poetry
Best Urdu Shayari jaun elia poetry 

tu bhi chup hai main bhi chup hon by jaun elia

tu bhi chup hai maiN bhi

chup huN yeh kaisi tanhaai

hai

teray saath teri yaad aai,

kya tu sach much aai hai

shayad woh din pehla din

tha malkeN bojhal honay

ka

mujh ko dekhtay hi jab un

ki angRaai sharmaai hai

us din pehli baar hua tha

mujh ko refaqat ka ehsaas

jab us kay malboos ki

khushboo ghar

pohonchane aai hai

husn se arz e shauq na

karna husn ko zak

pohonchana hai

hum ne arz e shauq na

kar kay husn ko zak

pohonchaai hai

hum ko aur to kuchh nahiN

sujha albatta us kay dil

meiN

soz e raqabat paida kar

kay us ki neend uRaai hai

hum donoN mil kar bhi diloN

ki tanhaai meiN

bhaTkengay

paagal kuchh to soch yeh

tu ne kaisi shakl banaai hai

ishq e paichaaN ki sandal

par jaany kis din bel

chaRhhy

kiari meiN paani Thehra hai

deewaroN par kaai hai

husn kay jaany kitnay

chehray husn kay jaane

kitnay naam

ishq ka paisha husn

parasti ishq baRa harjaai

hai

aaj bohot din baad meiN

apnay kamray tak aa nikla

tha

juN hi darwaza khola hai

us ki khushboo aai hai

aik to itna habs hai phir

meiN saaNseiN rokay

beTha huN

weerani ne jhaaRoo de

kay ghar meiN dhool uRaai

hai


:

Jabr par ikhtiyar hai, amaan haan

Be-qarari qarar hai, amaan haan

Izad-e-yazdaan hai tera andaaz

Ahriman dil-figaar hai, amaan haan

Mere aaghosh mein jo hai us ka

Dam-ba-dam intezaar hai, amaan haan

Hai raqeeb us ka doosra aashiq

Wahi ik apna yaar hai, amaan haan

Yaar zardi hai rang par apne

So khazan tu bahar hai, amaan haan

Lab-o-pistan-o-naaf us ke na pooch

Ek aashob-e-kaar hai, amaan haan

Sang-e-dar ke hon ya hon daar ke log

Sab pe shahwat sawaar hai, amaan haan

Ab tu insaan ke maujaze hain aam

Aur insaan khwaar hai, amaan haan

Ek hi baar baar hai, amaan haan

Ik abas ye shumaar hai, amaan haan

Zarra zarra hai khud-gureezani

Nazm ek intishaar hai, amaan haan

Ho wo yazdaan ke aadam-o-iblees

Jo bhi hai khud shikaar hai, amaan haan

Wo jo hai jo kahin nahin us ka

Sab ke seenon pe baar hai, amaan haan

Apni be-rozgari-e-javed

Ik ajab rozgar hai, amaan haan

Shab kharabat mein tha hashr bapa

Ke sukhan harza-kaar hai, amaan haan

Kya kahun faasle ke baare mein

Rahguzar, rahguzar hai, amaan haan

Bhule bhule se hain wo aariz-o-lab


Yaad ab yaadgaar hai, amaan haan


kisi libas ki khushboo jab ud kar aat hai by jaun elia

Kisi libas ki khushoo jab ud

kar aati hai,

tere badan ki judai bohot

satati hai,

tere badan ke pasiney say

mushk boo hai libas,

tere libas ki khushboo

badan se aati hai,

tere pasijey hue tang

parhan ki shameem,

lahoo mein aag laga kar

badan jalati hai,

tere gulaab taraste hain

teri khushboo ko,

teri safaid chabili tujhe

bulati hai,

tere baghair mujhe chain

kaise padta hai,

mere baghai tujhe neenend

kaise aati hai


hai ajab haal zamane ka by jaun elia

hai ajab haal yeh

zamaane ka

yaad bhi tor hai

bhulane ka

pasand aaya bohot

humein paisha

khud hi apnay gharon

ko dhaane ka

aasmaan-e-khmoshiy-

e-jaaved

main bhi ab lab nahin

hilaane ka

itna nadam hua hun

khud se ke main

ab nahin khud ko

aazmaane ka

zindagi aik fann hai

lamhon ko

apnay andaaz se

ganwaane ka

yeh jahan Jaun ik

jahannum hai

yaan khuda bhi nahin

hai aane ka

kya kahun jaan ko

bachaane mein

Jaun khatra hai jaan

jaane ka



Post a Comment

0 Comments